SANG DIL


Kash yad na hoti but aisa ha nai,yad ha and ye aik hakikat ha ke jab yad ko bhulaya jay to phr aor yad aati ha,yad bhi aisay ha jaisay jab chand kisi aot main chala jay to wo to nazar nai aata laken aus ki chandni hum tak pohanch jati ha laken jab chand khud samnay ho to phr chandni nai hoti,
Aub wo to samnay nai but aus ki yad dil ko aisa chor kar dati ha ke aankhain aansun sa tar ho jati hain….
Shahid ye darad hi aub wo chandni ha jo chupay hoy chand ki yad dilaay….
Aor ye yad bohat darad dati ha,aor darad ka chand youn hi chamkta rehta ha rat bhar,
Dil kay zakahm phr sa khil jatay hain ais darad sa
Aor han;
Jab such much chand samny hota ha
To ansu bhi khud ba khud nikal jatay hain aor chand sa ye pochtay hain ke kahan ha wo,laya ha aus ka salam ya nai??
And chand bhi ansun ko daikh ka aun ka samna nai kar sakta shahid chand bhi koi darad mehsus karta ha and khud ko baadlun main chupanay ki nakam koshish karta ha…
Aor;
Jab baadal nai hotay to hum chand ka samna karnay sa kutratay hain,chand sa nazrain churatay hain,chup jatay hain ausay daikh ka…..

------------------------------------------------------------------------------------


Yeh sang dilon ki duniya hay yahan sanbhal ka chalna WASI

Yahan palkun pe bithatay hen nazron say girane ka liye


------------------------------------------------------------------------------------