Intazar

Intazar ya w8,kitna ajib sa lafaz ha na,,jo khatam honay ka nam hi nai leta,,wesay to sabhi kisi na kisi cheez ka w8 kartay hain, laken asal main Ais dunia main 2 kisam ka log hotay hain,aik wo jo w8 karwatay hain,aor dosray wo jo w8 kartay hain,,,

Aub jo w8 karwatay hain asal main wo log dunia ka sath badal jatay hain,wo dunia ki ais bheer main apna wajood ko kaim nai rakh saktay aor ausi ka sath dhal jatay hain,,jaisay koi gold maker gold ko kisi kemti anghti main dhal deta ha,aor wo anghoti tab w8 karti ha,ye log bhi dhal janay ka baad phr w8 kartay hain,,but you know jub kemi anghoti koi kharid leta ha to phr zarori nai wo har time ausay pehnay,,,tab jaisay wo anghoti khas khas mokun pe pehni jati ha,,aisay hi ye log bhi tab w8 kartay hain aor logun ka liy khas mokun pe paish honay walay item ban jatay hain….

Aor aub bat kartay hain aun ligun ki jo ke w8 kartay hain,,ye log dewanay hotay hain,ye jan dena aor jan lena jantay hain,,but jan dena ain ka sheewa ha,ye intazar kea us kurab ko bhi enjiy kartay hain jo ke bht takleef deh hota ha,,,ye log chahain to dunia ko badal dain,,ye dunia ko badal dena jantay hain,,ain ka hosla aor jazba aisa hota ha ke chahain to asaman sy sitaray tor lain,,but ye apni ais takat ko under estimate kar detaya hain,,ainhain asal main andaza ho nai hota ke ain ka andar kitni takat ha,,,aor ye halaat ko badal daktay hain,na mumkan ko mumkan bana saktay hain,ain ki example aus ghoray ki ha jisay apni takat ka andaza hi nai,but jab andaza ho ga to tab wo ghora pashtaay ga,same like this,,ye log bhi aisay hi hain,,,,

---------------------------------------------------------------------------------

Do ghari mayassar ho aus ka ham safar hona
Phr haimain gawara ha apna dar badar hona

Aik azab e peham ha aisay doray weshahat main
Zindgi ke chehray pe apna chisham e tar hoana

Aub to aus ka chehray main be panah chehray hain
Kia ajeeb nemat thi warna bakhabar hoana

Har nigah ka pathar aor meray bam o dar
Shehr e be fasilan main,kia sitam ha gar hoana

Soch ka pirindun ko aik panah dena ha
Dhoop ki hakumat main zehana ka shajar hona

Aus ka wasal ki sahat hum pe aai to jana
Kis ghari ko kehtay hain khawab mian basar hona….

Masoom


Kehtay hain jab payar had sy barh jata hy to ghutan ban jata hy,aor jab ghutan ban jay to tab bht kuch wesa nai rhta,sab kuch badal jata hy,aor

tab wo bhi badal gy,

aor ais ki kahani hi close kar di,

bechara kitna masoom dil tha…

shahid aun ki masomiyat sy aunhain bhi na pata laga ho ke ais beach jan chali jay
gi,
aor jab wo phr a gay to hal pochnay lagay ke kaisy ho,but aumhain koi ye bhi pata hona chchiy ke dead body bola nai karti,,,,,,,

-----------------------------------------------------------------

meray shahar ka log bhi kitnay masoom hain
wasi

katal kar ke pochtay hain kia hal hy…

kab ki chor di Zindgi


Kehtay hain zakham jab khad sy barah jata hy to nasoor ban jata hy,
Aor nasoor ban ke saray wajood ko aisay mafloj kar deta hy ke,aaghar
Kar wajood khatam ho jata hy,,,,

Lekan ais ka hum pe kia asar,,dil ka zakam nasoor ban ke aub agar hamain mita dain to kia farak parhta hy,

Hum ny to kab ki zindgi hi chor di ,,,

Aor zindgi ka sath sab lut chukka,,

Aub zakham nasoor banain ya,wajood ko mita dain,,,,

Koi farak nai parhta,,,,

Han wo hi nai rahay hmaray ,

Kaha tha na meri life ho,but aunhain kia,,,,

Aub to life hum ny chor di,,,,

Han…..

Gira do aaj hamain…

Mita do aaj hamain….
------------------------------------------------

Gaay mosam main jo khiltay thay gulabun ki tarah

Dil pe autrain gy wo hi khawab azabun ki tarah

Rakah ky dhaar pe aub rat basar karni hy

Jal chukay hain meray khamay,meray khawabun ki tarah

Saaht-e-deed ky aaraz hain gulabi aub tak

Awalain lamhun ky gulnar hajabun ki tarah

Wo samundar hy to phr rooh ko shadab karay

Tashnagi q mujhy deta hy sarabun ki tarah

Khair mumkan hy teray ghar ke gulabun ka shamar

Meray restay hoy zakhmun ka hasbun ki tarah

Yad to hun gi wo batain tujhay aub bhi laken

Shelf main rakhi hoi banad kitabun ki tarah

Kon janay ke ney sal to kis ko parhay

Tera mayar badalta hy nisabun ki tarah

Shough ho jati hy aub bhi teri aankhun ki chamak

Gahay gahay,teray dilchasap jawabun ki tarah

Hijar ki shab,meri tanhai pe dastak dy gi

Teri khushbu mery khoy hoy khawabun ki tarah…

Teray bin


dil bohat udas hy teray bin aaj bhi,
bohat behlaya aisay bohat samjhany ki koshish ki laken pata nahi kia hoa hy aisay?
kuch ziyda hi bhojal hy aaj to,
aor
tumhari yad ka aik tofan liy hoy ha,,,
but
main to aitna janta hun ke kisi din tumhari yad meri jan la ly gi,
pata hy meri jan jati hy aisi situation main,
ye kaisa darad hy jo ke khatam honay ka nam nai leta,
ye kaisi yad ha jo bholnay ka nam nai lati,
zakham wesay hi hare hain aaj bhi,,
Aor
aik kami hy,
aik kami,,
jo ke har pal apna ehsas dilati rehti hy…
Har pal adhora hy teray bin…

------------------------------------------------

Lamhon main aaya aor pal pal ki shanasai dy kar
Bichar gaya hy mujhy wo shab-e-tanhai dy kar

Wo jis ki khatir andharon sy sulah ki main ny
Aujalay cheen gaya wo mujhay benai dy kar

Kuch aisay tor meray shehar sy hoa rahosat
Wo mohabat ki khushi tak mujhy rasai dy kar

Ye kaisi aaj yahan roshni si autri hy
Chupa hy wo kahin aik pal ko dikhai dy kar

Wo meray dil main mohabat ki dharkanun ki tarah
Khamosh ho gaya kuch daar sunai dy kar

Aus sy mangi thi fakat qurbatun ki aik ghari
Juda hua hy umar bhar ki wo tanhai dy kar

kaash


Pata hy sometimes bht kuch aisay ho jata hy jo insan nahi chahta,laken kia kaha ja sakta hy bht kuch hamaray na chahnay ya chahnay sy nai ruk sakta ho jata hy,aisay main insane aus ke samnay bht bebas ho jata hy,bht ba aghtayar,,

Ansu jeet jatay hain aor muskarahat har jati hy,
Zindgi ka har lamha ghut ghut ka guzarta hy,
Har pal marna parhta hy,
Laken
Bazahir chehray pe hansi rakhni parhti hy,apny ansu muskarahat main chpnay parhtay hain,kitna mushkal hy na?

But ye sab ais waja sy hy ke dil nadan hy,pata nai ais ko milta kia hy,ye q nai ausay bhula raha jo ais ka hona nai chahta,jis ny aisy bula dia,
Kitna sada loh hy ye dil bachara,,,

Kabhi koi veran jaga,kisi sanatay wali jaga main rona chahta hy,
Kabhi bheer main aus tanhai main pohanch jata hy,jahan udasi ka raj hy,

Aor

Phr sy intazar karta hy ke shahid a jao tum,
Phr sy bahar ho jay aus chaman main jo aujar chukka,

Phr sy shahid zindgi jo ghafa ho gai hy,maan jay,,

Ye
Intazar krta rhay ga,
Dewana,,

Shahid aisay ye nai pata ke intazar jab barah jay to ROG ban jata hy,
Aor
ROG le dobta hy,,,

Aisay aisa rog bhi accha lagta hy jo ke aisy tumharay payar main mila hy,


Aor ye to pal pal dobta hy…
Phr
Khuch hotay khanay ke baad sambhlta hy ke shahid tum a gay phr sy….

Kaash…….

Tum a jatay….

Ay kaash……!!!!

----------------------------------------------------------------------


Teray baray main jab socha nahin tha

Main tanha tha magar aitna nahin tha

Teri tasveer sy karta tha batain

Meray kamray main aaina nahin tha

Samundar ny mujhay payasa rakha

Main jab sehra main tha to payasa nahin tha

Mananay rothnay ke khaal main hum

Bichar jain gy ye socha nahain tha

Suna hy band kar li aus ny ankhain

Kai ratun sy wo soya nahin tha

be bas


Main jab bhi kuch likhnay ki koshish karta hun,to kuch likh nai sakta,pata nai wo konsay lafaz hain jo tehrir nai ho rahy,,,main ye to nai janta laken aitna zaror feel kar raha hun ke aik kami si ha mari zindgi main,aik aisi kami ke mujhy mara har kam adhora lagta ha,har wakat aik fikar si lagi rehti ha,har wakat aik dard feel hota,aor ye dil har wakat tumhain yad karta rehta ha,tumhari yadon main aisay kho jata ha ke bus,aankhen nam ho jati hain,aor,main lakh bhulany ki koshash karta hun laken ye jo dil ha na ais pe mara bas nai chalta……

--------------------------------------------------------------------

Samjhhta nahi ye dill……!
Samjhanay chalay aao….!

Do Dillon ke faaslay …..!
Mittaanay chalay aao…!

Janoon-e-ishq main…..!
Pagal hogaye hum.…!

Apni baahon main mujhy….!
Samany chalay aao….!

Na door reh kar tarpao…..!
Na dil ko tarsaao………!

Apna bana ke apnaiyat ….!
Dikhanay chale aao…….!

Mera ishq sacha hai….!
Mera aitbar kar lo……!

Mera ishq mera payar ……!
Aazmanay chalay aao……!


wasi

SANG DIL


Kash yad na hoti but aisa ha nai,yad ha and ye aik hakikat ha ke jab yad ko bhulaya jay to phr aor yad aati ha,yad bhi aisay ha jaisay jab chand kisi aot main chala jay to wo to nazar nai aata laken aus ki chandni hum tak pohanch jati ha laken jab chand khud samnay ho to phr chandni nai hoti,
Aub wo to samnay nai but aus ki yad dil ko aisa chor kar dati ha ke aankhain aansun sa tar ho jati hain….
Shahid ye darad hi aub wo chandni ha jo chupay hoy chand ki yad dilaay….
Aor ye yad bohat darad dati ha,aor darad ka chand youn hi chamkta rehta ha rat bhar,
Dil kay zakahm phr sa khil jatay hain ais darad sa
Aor han;
Jab such much chand samny hota ha
To ansu bhi khud ba khud nikal jatay hain aor chand sa ye pochtay hain ke kahan ha wo,laya ha aus ka salam ya nai??
And chand bhi ansun ko daikh ka aun ka samna nai kar sakta shahid chand bhi koi darad mehsus karta ha and khud ko baadlun main chupanay ki nakam koshish karta ha…
Aor;
Jab baadal nai hotay to hum chand ka samna karnay sa kutratay hain,chand sa nazrain churatay hain,chup jatay hain ausay daikh ka…..

------------------------------------------------------------------------------------


Yeh sang dilon ki duniya hay yahan sanbhal ka chalna WASI

Yahan palkun pe bithatay hen nazron say girane ka liye


------------------------------------------------------------------------------------

khuda janay


Log ketay hain ke jo aanso da jatay hain aunhain bhula do q ke wo agar aap ko aansu datay hain to aap q aun ke parwa kartay hain,q bahatay hain aansu aun ka liy……!!!

Q
Ke
Agar wo aap sa payar kartay hain to wo aap ko aansu da hi nai saktay,,,,

Laken

hum kehtay hain
Ke
Hum to kuch nai jantay!
hamray liy to bas aun ki yadin anmol hain,chahy wo aansu hi q na dain hum to payar kartay rahin gay,bashak wo hamara dil torty rahain..,

Datay rahain zakham pe zakham,,

Datay rahain darad,,,

But

Hamin sila to aun sa nai chaiy?
Hamin to wafa aun sa nai chahiy?
Nai chahiy aun sa kuch bhi……

Q

Ke
Hamin to Apnay rub pe bharosa ha…..

,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

Tum wafa karo wafa ka sila,wafa jane KHUDA jane,

Tum diya jalate rehna hawa jaaney KHUDA jane,

Khizaan ka khouf maali ko buzdil nahi kar skta,

Chaman abaad rakhna baad-e-saba jane KHUDA jane,

Mareez-e-ishq,dawa-e-dil samajh dilber ko,

Marz jane dawa jane shifa jane KHUDA jane…



,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,