Teray bin


dil bohat udas hy teray bin aaj bhi,
bohat behlaya aisay bohat samjhany ki koshish ki laken pata nahi kia hoa hy aisay?
kuch ziyda hi bhojal hy aaj to,
aor
tumhari yad ka aik tofan liy hoy ha,,,
but
main to aitna janta hun ke kisi din tumhari yad meri jan la ly gi,
pata hy meri jan jati hy aisi situation main,
ye kaisa darad hy jo ke khatam honay ka nam nai leta,
ye kaisi yad ha jo bholnay ka nam nai lati,
zakham wesay hi hare hain aaj bhi,,
Aor
aik kami hy,
aik kami,,
jo ke har pal apna ehsas dilati rehti hy…
Har pal adhora hy teray bin…

------------------------------------------------

Lamhon main aaya aor pal pal ki shanasai dy kar
Bichar gaya hy mujhy wo shab-e-tanhai dy kar

Wo jis ki khatir andharon sy sulah ki main ny
Aujalay cheen gaya wo mujhay benai dy kar

Kuch aisay tor meray shehar sy hoa rahosat
Wo mohabat ki khushi tak mujhy rasai dy kar

Ye kaisi aaj yahan roshni si autri hy
Chupa hy wo kahin aik pal ko dikhai dy kar

Wo meray dil main mohabat ki dharkanun ki tarah
Khamosh ho gaya kuch daar sunai dy kar

Aus sy mangi thi fakat qurbatun ki aik ghari
Juda hua hy umar bhar ki wo tanhai dy kar