kaash


Pata hy sometimes bht kuch aisay ho jata hy jo insan nahi chahta,laken kia kaha ja sakta hy bht kuch hamaray na chahnay ya chahnay sy nai ruk sakta ho jata hy,aisay main insane aus ke samnay bht bebas ho jata hy,bht ba aghtayar,,

Ansu jeet jatay hain aor muskarahat har jati hy,
Zindgi ka har lamha ghut ghut ka guzarta hy,
Har pal marna parhta hy,
Laken
Bazahir chehray pe hansi rakhni parhti hy,apny ansu muskarahat main chpnay parhtay hain,kitna mushkal hy na?

But ye sab ais waja sy hy ke dil nadan hy,pata nai ais ko milta kia hy,ye q nai ausay bhula raha jo ais ka hona nai chahta,jis ny aisy bula dia,
Kitna sada loh hy ye dil bachara,,,

Kabhi koi veran jaga,kisi sanatay wali jaga main rona chahta hy,
Kabhi bheer main aus tanhai main pohanch jata hy,jahan udasi ka raj hy,

Aor

Phr sy intazar karta hy ke shahid a jao tum,
Phr sy bahar ho jay aus chaman main jo aujar chukka,

Phr sy shahid zindgi jo ghafa ho gai hy,maan jay,,

Ye
Intazar krta rhay ga,
Dewana,,

Shahid aisay ye nai pata ke intazar jab barah jay to ROG ban jata hy,
Aor
ROG le dobta hy,,,

Aisay aisa rog bhi accha lagta hy jo ke aisy tumharay payar main mila hy,


Aor ye to pal pal dobta hy…
Phr
Khuch hotay khanay ke baad sambhlta hy ke shahid tum a gay phr sy….

Kaash…….

Tum a jatay….

Ay kaash……!!!!

----------------------------------------------------------------------


Teray baray main jab socha nahin tha

Main tanha tha magar aitna nahin tha

Teri tasveer sy karta tha batain

Meray kamray main aaina nahin tha

Samundar ny mujhay payasa rakha

Main jab sehra main tha to payasa nahin tha

Mananay rothnay ke khaal main hum

Bichar jain gy ye socha nahain tha

Suna hy band kar li aus ny ankhain

Kai ratun sy wo soya nahin tha